People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Mann Ki Baat Jab-1
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Video:
ankahi ansuni, baato ka madhu
mantar me dhaal ke
sukh ka anubhaw karo
yu hi sukh sapno ke, deep baal ke
kuch batane ko
kuch batane ko, kuch chhupane ko ho
bela kahne ki, fir na aane ko ho
kya ho, man aise me jo kah de
abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi
man ki baat jab, hotho pe aane ko ho

kalpana kya kare
yadi kahne wala, maun sadh le
drishthi dekhe kaise
do naino ko jab laz bandh le
dhairy ka bandh
dhairy ka bandh tut jane ko ho
aur fir bhi na, man batane ko ho
kab tak, yuhi kahti rahogi
abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi
man ki baat jab, hotho pe aane ko ho
Mann Ki Baat Jab
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Ki-Baat-Jab-Hothon-Pe/B14ucxNIeWc
Video:
man ki bat jab hotho pe aane ko ho
aur ji koi geet gane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho

aisa sayam bhi sath jo sapno ke bhi paw rok de
aaye koi pathik do naino ke
dware hi tok de lal sa jo kuch
lal sa jo kuch khone pane ko ho
tinke chun chun ke ghar banane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho

bandhano se pare andekhe bandhan
prem preet ke jinpe bandhke haridya
kabhi parshan karega har jeet ke
jab koi khushi jab koi khushi paas aane ko ho
koi apna sab kuch lutane ko ho
kya ho man aise me jo kah de
abhi nahi abhi nahi fir kabhi
man ki bat jab hotho pe aane ko ho
Log Aise Bhi Zamane
Singer: Ravindra Jain
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Log-Aise-Bhi-Zamane-Mein/HCoIcyxSUXk
Video:
log aise bhi zamane me hua karte hai
aasmano ki wo lambi jo chua karte hai
chandani apni mohabbat ki lutane wale
chandani apni mohabbat ki lutane wale
teri rate teri rate teri rate na jale hum ye dua karte hai

aaj armano se dulhan ko sajaya jaye
joda shadi ka use khud hi pahnaya jaye
bhul kar apne sabhi dard chupa kar aasu
bhul kar apne sabhi dard chupa kar aasu
is tarah rishte yari ko nibhaya jaye
is tarah rishte yari ko nibhaya jaye

dosto yaro ko saugat sabhi dete hai
kimti kimti tohfe bhi kayi dete hai
aise dekhe na sune hamne jo haste haste
aise dekhe na sune hamne jo haste haste
apna hak apna nasib apni khushi dete hai
apna hak apna nasib apni khushi dete hai

man hai bhari bhigi karte hai ye halat kya hai
hasne wale tujhe tone ki jarurat kya hai
tune jab saup diya dost ko jude ka gulab
tune jab saup diya dost ko jude ka gulab
fir tujhe damane khali se shikayat kya hai
fir tujhe damane khali se shikayat kya hai
Mann Meet Aur Preet-1
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Meet-Aur-Preet-Milte-Hai-I/GBEuQkMATgo
Video:
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
kayi dube kayi laut aaye
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
o meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se

jodiya aati jo najar pahle se chuni jati hai
shadiya hoti jo yaha jannat me likhi jati hai
jinhe milna na ho, bin bole
chale wo jate hai barabar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se

duriya kitni hi sahi, sathi hi kahe jate hai
aasman aur dharti sada jodi me gine jate hai
lagte hai juda, par dono
bandhe hai kahi andar hi andar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se

koshishe karne par mile
yaha kismat meharba hoye
agar na ho pane ka yaki
to koi umar kyu khoye
manjil se hame to matlab hai
garaz nahi raaho ke chakkar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
sajdo me ho dum to suna hai
murade mil jati hai patthar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
gaye jo moti lane samundar se
meri jan ladna padta hai mukaddar se
manmeet aur preet milte hai mukaddar se
Mann Meet Aur Preet
Singer: Hemalatha
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Man-Meet-Aur-Preet-Milte-Hai-II/RC8SVyN3UUY
Video:
man meet aur preet
milte hai mukaddar se
kayi dube kayi laut aaye
gaye jo moti lane samunder se
man meet aur preet
milte hai mukaddar se

dil kisi gulshan me khila
khushbu to rahi harjayi
jiske hisse me hi likhi
khushbu to usi ne payi
abhi aane ko hi thi bahare
ke bhar gaya jivan ye patjhad se
man meet aur preet
milte hai mukaddar se
Kaun Hai Aisa Jise
Lyricist: Ravindra Jain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Raadha-Aur-Seeta/Kaun-Hai-Aisa-Jise-Phoolon-Se/FCZfQzAEBVE
Video:
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho
pyar ke bina pura koi saringar na ho kaun hai aisa jise phulo se
geeto se panchiyo se pyar na ho

jiwan hai phul man ek panchi sans sans me geet re
man panchi fir udna na chahe le jo use koi jeet re
jina re wo kaisa agar kisi pe apna koi adhikar na ho
kaun hai aisa jise phulo se geeto se panchiyo se pyar na ho

is anjane shahar me aake man kitna bechain tha
kisko khabar thi inhi galiyo me chupa mere dil ka chain tha
khushi to khushi hai us khushi ka hotho se chahe izhar na ho
kon hai aisa jise phulo se geeto se panchio se pyar na ho

pahle pahal jab mujhse mile the tum kitne hairan the
tum meri mai tumhari najar me dono hi nadan the
mere humdum aisi galti hamse fir is bar na ho
pyar ke bina pura koi saringar na ho
kaun hai aisa jise phulo se
geeto se panchiyo se pyar na ho